Tuesday, April 05, 2005

Talaash

ek aur saanjh ho chali hai, aur mere ghar main roshni nahin hai
diye ki khoj main bhatakta phirta hoon mara-mara
din ka khel ab khatm ho chuka hai
din-bhar maine badi atkheliyaan ki hain
ab saanjh ho chali hai, aur mere ghar main roshni nahi hai
raat gahra rahi hai, diya nahin mila hai, na jaane kitni khoj aur baki hai,
na jaane kitna chalna aur baki hai
ab rukte rukte se kadam hain, shareer main itna hi dum hai, ki peepal tale so loon
par mere ghar main roshni nahin hain, diye ki khoj abhi puri nahin hai
ab raat ho chali hai, aur mere ghar main roshni nahin hai
mere ghar main roshni nahin hai
mere ghar main roshni nahin hai
~

2 comments:

Anonymous said...

Diye ki khoj mein aur roshni ke abhav mein apney ghar mein andhkar ko pravesh na karney dena.

Very moving.

anshul said...

what ?? I moved sthir !