Tuesday, April 26, 2005

ek subah

chhan(from chalni, filter)
auns(dew)


badalon se chhan kar dhoop mere aangan main aai hai
Wahan door mere aangan ki dhalano se dhoop ke rekhayen haule se mil rahin hain
aur yahan mere aangan ki hariyali ne auns ki muskan chadhai hai
badalon se chhan kar dhoop, mere aangan main aayi hai

Udhar rekhaon ke bandalon ne aakash ko bhavya banaya hai
aur idhar mere aangan ke phoolon ne mahak ka rang chadhaya hai
Badalon se chhan kar dhoop, mere aangan main aayi hai

ab mere aangan ke panchiyon ne aasman main chalang lagayi hai
ab maine aangan main apni kursi lagayi hai
aur Subah ki dhoop ab mere mun main utar aayi hai

badalon se chhan kar dhoop, mere aangan main aayi hai

No comments: