Friday, April 29, 2005

Nayi Hawa

(This is without much thought)

poorab ki kis hawa ne mera darawaza khatkhataya hai
Yeh konsi bayar hai jo mujhe baagiche main bula rahi hai
Yeh kiski awaaz hai jo mere kaano tak aa rahi hai
Main toh apni tanhai ke andhiyaare main gumsum baitha tha
Yeh konsa ujiyara mere aangan main aaya hai
poorab ki kis hawa ne mera darwaza khatkhataya hai

Is dastak ka jawab toh mujhe dena hi padega
Is baar toh poorvai ko andar aane dena hi padega
Yeh main hi toh tha, jisne deewaron ka mahal banaya
Yeh main hi toh tha, jisne darwaazon ko band karwaya
Maine hi layi thi tanhai, Aur maine hi kiya tha andhera
Ab darwaze ko khol kar, roshni ko andar aane dena hi padega

3 comments:

Anonymous said...

nice...

mere dost, waqt hai bahut keemti
hava aati to hai, pur hai kabhi nahi rukti

anshul said...

anon, agar rukti, to phir hawa kahan hoti.
rukne wali ka naam hawa nahin !

navin, Hazaron khwahishen aisi, is also a ghazal by Mirza Ghalib, sung by jagjit singh. But I didn't get your comment.

anshul said...

navin, I got it :) ,phir main bola hari.