Monday, April 25, 2005

Siphar

mandir ki ghanti ki har awaaz ke beech main hai siphar

aasman ki gahrai main hai siphar,
waadiyon ki tanhai main hai siphar
jindagi ka agaz hai siphar
jindagi ka anjam hai siphar
yeh main nahin kahta, yeh kahta hai siphar

yehi hai palon ko samay main pirone wala
yehi hai sanson ke risthon ko jodne wala
Risthon ke bandhan main hai siphar
Aur Insaan ke mun main hai siphar
Yeh main nahin kahta, yeh kahta hai siphar

Pahle kuch nahin tha, sirf tha siphar
Phir huyi roshni aur phir huya andhera
Ab andhere main hai siphar
Aur roshni main bhi siphar
Yeh main nahin kahta, yeh kahta hai sihpar

1 comment:

Anonymous said...

Your poetry leaves one spellbound.