Monday, June 29, 2009

mazhab

maayus na ho dildaar
tu mohabbat-e-mazhab rakh barkarar
tu paa na sake toh gam na kar
tu dekar hi ho ja khushgavar

Tuesday, June 23, 2009

Pyaasa

wahan se ek boond mile
toh sagar lagta hai
jahaan se sagar mile
toh bhi man pyaasa bhatakta hai

Friday, June 19, 2009

inteha

kadam thakte tab bhi hum chalte
lekin aaj hum thak gaye hain

Thursday, June 18, 2009

wah

kuch hosh nahi rahta,
kuch dhyaan nahi rahta
insaan mohabbat main,
insaan nahi rahta

- hindi movie sarfarosh

Wednesday, June 17, 2009

bacche

jinhe sapnon ki izazat nahi
woh yaadon ki panah main sote hain

Sunday, June 14, 2009

Holy Dip

us ganga main amir garib
raja rank
sab koi dubki lagaye
kuch doobe kuch tar jaye

auchitya

is bhramaand ka auchitya yahi
ek pal ko bune
jismain mohabbat pale

(ok. that is lofty).

Friday, June 12, 2009

jaddojahad

har dard ko baantan nahi ja sakta
har chahat ko paya nahi ja sakta
par kahte hain ki thori si koshish se
har waqt ko hai kata ja sakta

Wednesday, June 03, 2009

chakra

raat jo le kar aayi thi
dhoop subah se woh auns le chali
ek aur raat aayegi
kal patte par phir auns jhilmilayegi

Monday, June 01, 2009

dua

khuda tujhe salamat rakhe
ke tu kai aankhon ka noor hai
teri hansi se roshan
kai gharon ki chardiwariyan
kai dilon ke chaukhane
khuda tujhe salamat rakhe
ke tu mohabbat-e-kohinoor hai