Monday, May 31, 2010

bheetar

faiz pooche ghalib se
jis-se roshan jindagi har bashinde ki
phadphadati wahi lou tujhmain bhi
aur mujhmain bhi?

bheetar=inside
bashinda=inhabitant
phadphadati=flicker

- I kno it's nonsense :)

Sunday, May 23, 2010

us din

shaam dhali hi thi
ki barbast hawa tez chali
tadtadati baarish patre par padi
dil ke kisi kone main
bachpan ki sigdi phir jali

Thursday, May 20, 2010

aven hi

tu jaan le jahan
main je karan, main je kahan
thora buzdil hai
magar saacha mera dil hai

- to the world, just like that

Monday, May 17, 2010

banjara

bazar khada faiz muskaraye
jindagi ne kai shahar ghumaye
har shahar se nikale gaye
kabhi apne haathon
kabhi paraye

par kahte hai faiz ka koi ek thikana nahi hai
faiz kai shaharon main basta hai
har bazar main jab mela lagta hai
wahin kahin kisi kone main
faiz phir khada hasta hai

har bazar main jab mela lagta hai
faiz phir khada hasta hai

Monday, May 10, 2010

faith in free air

when dawn broke with fanfare
this I said to the free air
I'll keep my heart
and you keep them fair

soon it was noon and the sun was unfair
but this I said to the free air
I'll hold my heart
and you help my despair

unexpected twilight brought the night
and this I said to the free air
it's dark and I've lost my sight
but you keep my heart
and I'll keep me fair

- random lines after watching dead poet's society