Monday, May 17, 2010

banjara

bazar khada faiz muskaraye
jindagi ne kai shahar ghumaye
har shahar se nikale gaye
kabhi apne haathon
kabhi paraye

par kahte hai faiz ka koi ek thikana nahi hai
faiz kai shaharon main basta hai
har bazar main jab mela lagta hai
wahin kahin kisi kone main
faiz phir khada hasta hai

har bazar main jab mela lagta hai
faiz phir khada hasta hai

No comments: