Tuesday, August 31, 2010

monsoon wind

main chatakhni kholiyaan
bhini bhini hawa re aayi
main sab bhuliyaan
saans rangon rang purvayi

chatakhni=the window knob
kholiyaan=opened
purvayi=wind from the east?

Monday, August 30, 2010

sikta bhutta

dab tap badal girti baarish
chat chat koyle sikta bhutta
dab tap
chat chat

badal ne
thani aaj hai manmaani
thani aaj hai manmaani
girta paani
girta paani

ruka jo paani
thama jo pani
phir chat chat koyle sikta bhutta
chat chat
chat chat

- random tp. Am trying to depict a passage of time, hope it makes sense. if doesn't, oh well :)

Sunday, August 29, 2010

chaah

faiz ki chaukhat par
raat ki sigdi yun jale
yaadon ke mehfil jame
armaanon ki baat chale

raat kalikh gahraye
aangaron ki aanch badhe
faiz gaaye, taan lagaye
man ki saanch rah jaye
baki sab beh jaye

Saturday, August 28, 2010

monsoon

faiz jab boonda-baandi aaye
niche ped khada ho jaye
aur amma ki yaad lagaaye
"beta chatri phir ghar bhool aaye"

- zok tha vi

ibadat

jis maidan ke chor
kai lambe ped hai badhe
yaar tu milna kabhi
wahin kisi chanv ke tale

tu bahti dhara milna
tu toot-ta tara milna
faiz jo hum bande milenge
phir ik choti si ibadat kahenge

Saturday, August 21, 2010

chal mere sang

madhham hawa main patte yun lehraye
laga jindagi humse kah rahi
chal beh mere sang
main jindagi beh rahi
main jindagi beh rahi

patte = leaves
lehraye = wave
sang = with
beh = flow

Saturday, August 14, 2010

dhun

chahakti lau ne mujhse kaha
tu mujhmain hai
main tujhhmain hoon

mehakti mitti ne mujhse kaha
tu mujhmain hai
main tujhmain hoon

main dhuni sunta raha
main dhuni sunta raha

- late night sillyness

lau=flame
chahakti=chirpy,moving
mehakti=fragrant
dhun=passion?

Tuesday, August 10, 2010

anubhooti

faiz be-baat hi
jo nain bhar aaye
phir kya apne
kya paraye

nain = eyes
anubhooti = experience

ganga-tat

faiz palaken band kiye
har dua mang aaye
shayad bhule se hi
tujhe ek lag jaye

Wednesday, August 04, 2010

woh

bahti hawa hai
jo darwaze par khadkhadaye
aapne aap aaye
aapne aap jaye

girti baarish hai
jo patre par tadtadaye
aapne aap aaye
aapne aap jaye

yaad main hai
har ek fariyaad main hai
woh apne aap aaye
aapne aap jaye

aankhon ki nami hai
sanson ki thami hai
aapne aap aaye
aapne aap jaye

-okay. we are just getting lofty hear..
-and "apne aap aaye/jaye" seems heard somewhere, can't recollect where. shubha mudgal song maybe..

rang bhar

kai auron ki tasveeren bani hain
tere rangon se
faiz tu jindagi rang bhar
ke tere rangon se
kai aankhen saji hain

kai=many

Sunday, August 01, 2010

oh well

Past few months there have been times when I've felt I have grown old. Occasionally I fantasize a retirement. It would be nice to retire to a quiet place where there is a flowing river. A convertible for an occasional get out would be nice, but I wouldn't mind if it's not there. Would be good if there are wise people to sit with. People who can tell stories of the days gone by, and the times to come.