Monday, July 11, 2005

Aks

Aadhi Kalikh hai, Aadhi Parchhai
Tani Hui Bhrukuti hai, Aur Shikan-ranjit Aabha
Wahi Prashna baar-baar Dohrati Hai
Main Kuch aur Sun-ne ki koshish main laga hoon
Par Parchhai hai ki wahi prashna baar-baar Dohrati hai
Yeh Bhrukuti Kyun Taani Hai, Aur maathe par kyun Shikan hai
Tere Chehre Par Jhalakti Jaani-Pahcchaani Un-Bun Hai
Ke Kahan se Aaya hai, Kahan Ja Raha hai
Itni Kyun Ashanti Hai, Itna Kyun Khalipan hai

O parchhai, Tujhse Kya Kahoon, Uttar nahin hai mere paas
Keval Kalikh hai Aur Prashna hain
Keval Kalikh hai
Aur Prashna Hain
Aur Na Tu Peecha Chodti Hai, Na Yeh Prashna hain
Na Yeh Prashna Hain

Aadhi Kalikh Hai, Aur Prashna Hain

No comments: