Thursday, February 09, 2006

Bhatakte Kadam

mere kadam dhoondte dagar
chalne ke liye
bahakta man kai dishaon main lehrata hai
ke jindagi mohabaat ke naam kar jaoon
ya bandigi main doob jaoon
ke gagan ki ucchaiyon par aankh lagaon
ya mitti main hath rang daaloon,
seva-shram ki jhopdi banaoon
par phir sawal uthte hain
yeh mohabaat kya hai
bandigi ki dafa kya hai
aasman ki unchai main kya hai
mitti mai rangne se mera kya bhala hai
dehko is aadmi ki vidambana
ke kadam toh hain par
dagar nahin
Khwabon ki imaaraten toh hain
par roshen koi manzil nahin
Is par kisi ne kaha
Ki Dost, Kadam chalne toh de
dagar Khud-ba-Khud mil jayegi
Maine poocha mitr, dagar hai bhi
ki bekar hi dhoondte hain
Mere kadam
Dagar Chalne ke liye
Yeh toh Maskhari thi
Par Sach main yeh lagta hai
ki bhatak rahe hain kadam
dagar ke liye

2 comments:

Anonymous said...

Your words are beautiful and melancholic. I too appreciated the lines "Khwabon ki imaaraten toh hain..par rosheni koi manzil nahin"

anshul said...

thanks anon :)