Tuesday, February 14, 2006

Anokhi Sunwayi

yahan se door
bahut door ek baagiche main
aaj raat raat ki rani ka darbar lagega
phoolon ke baithak hogi
gulab dahaliya sang aayega
mogra mahak mahakayega
aur bhi kai aayenge
aaj baithak main gulab ke dard ki sunwayi hai
kai saathi pyaar ki bhenth chadhe hain

ab raat dheere dheere nikher rahi hai
sitare bhi jhuk ke dekh rahe hain
akhir majra kya hai
gulab fariyaad le kar aaya hai
mujhse aur dard dekha na jaata
o raat ki raani, pahle bhanvre ne loota
phir maali ne chaanta
aur ab bhale maanas ne dilwaloon ke liye kaata
kyun yeh mera jeevan hai
kisliye mera rang hai
kya meri khata hai
kyun itna dard mujhe mila hai
ji main aata hai kyun khiloon
kyun na murjha jaoon

Raat Ki Raani Unchai par virajmaan hai
Chanda Maathe ki Shoba badha raha hai
Sitare ab kaan laga sun rahe hain

Raani kuch is tarah se boli
Priya gulab
dard toh har jeevan main hai
par isliye hum jeevan nahi thukraya karte
main tujhse kahti hoon
tujh bin soona bagiche ka aangan hai
tu nahin toh nahi jeevan hai
tu jeevan ka darpan hai

tera dard hamara dard bhi hai
manas ne hame bhi kata hai
par subah ki dhoop main tera khila rang dekh
hame bhi hosla aata hai
ke jab tak jiyen mahak mahakayen
jaise tu khila khila kat jaata hai
waise hi hum bhi mahak mahak kat jaayen
ji jaayen
haan ji jayen

No comments: