Monday, February 27, 2006

Musafir

dagmag dagmag
tamanneyan machal padeen
ki machalna unka dastoor tha
phir kabhi dil ne ek gujarish ki
ke patton se hawa ki guftagoo sunoo
musafir bechara
tamannaon ka sang chod na saka
dil se moonh mod na saka
kabhi tamanaoon ke sang chalak pada
toh kabhi dil ki rah bahti nadiya bana
kabhi labzon main bayan karta chala
toh kabhi aankhon se kahani kahta chala
main musafir chalta chala
main musafir chalta chala

No comments: