aaj subah maine panchiyon ki chahchahat suni
madhur komal
nirmal nishchal si prateet huyeen
unki baatein
Dheemi-Dheemi si shanth subah thi
Dhoop se Dhuan Chat-ta hua tha
Aur sangeet ke moti beekherti theen, unki baatein
kabhi rukte, kabhi chukte,
kabhi zor se, kabhi shor se
suna maine panchiyon ko karte baatein
kya kaha, kisne kaha,
kuch samajh na aaya
Phir bhi ajab tha unka swar, ke man muskaayaa
Jab aaj subah, suni maine panchiyon ki baatein
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment