Wednesday, August 17, 2005

Rhetoric

Beeteen Baaton Ki Yaad nahin Dilaya Karte
Beeteen Baaton Ka Kya Hai
Ve Toh Yaad Aa Ke Chali Jaayengi
Gam ki Kalikh se toh Hame Ladna Hoga
Aansoon Ka Saagar Toh Hame Paar Karna Hoga
----------
Manzil Ki Talaash Nahin hai
SHohrat Ki Pyaas Nahin hai
Paise Se Dil Rooth Chuka hai
Ghar-Baar Ka Sapna toot chuka hai
Aankhon Ko Thora Raham mile
Aur Dil Ko Thora Sookon
Bhatakte Musafir Ki Baas Yahi Aakhri Aas Hai
Yahi Aankhri Saans Hai
-----------
Kal tak maan-baba se kahta tha
"tumse pyaar karta hoon"
Phir Doston se kahta tha
"tumse pyaar karta hoon"
Phir Sochta tha
"us-se pyaar karta hoon"
Moorkh tha, samajh nahin paya
Aaj jaana hai
Main sirf apne-aap se pyaar karta hoon
-----------
Logon ne pyaar ko jaane kya kya naam diye
Kisi ne Bhagvan kaha toh kisi ne Jeevan
Lekin naam main kya rakhha hai
Paani ko ushi ne jaana hai
Jisne uska swaad chakhha hai
Aur swaad kaisa, ki jibhaan ko samajh nahin aaya
Shareer ko Rahat mili, aur man ne thandak ko paaya
------------
Main nahin Jaanta, Ki Bhagvan Kaisa Hota hai
Shayad Dopahar Ki Tapti Garmi main
Peepal Ki Chaanv jaisa hota hai
Main nahin Jaanta, Ki Pyaar Kaisa Hota hai
Shayad Gangotri se nikalti Ganga
Ya Shayad Vindhya Se Bahti Narmada Jaisa Hota hai
Main Nahin Jaanta, Ki Nishchal, Nishpaap, Nishkaam Jeevan kaisa hota hai
Shayad Baache ke kilkari
Ya Shayad Baagiche ke podhon jaisa hota hai
Main Kuch nahin Jaanta,
Lekin itna Jaanta hoon, Ki main nahin Jaanta
------------
Kavi Man Karta Hai Ki Baas likhta chala Jaoon
Saare Jag Ke Aandhiyare Ko Apni Kalam Se Mitaoon
Par Meri Syahi Ab Khatm ho rahi hai
Andhiyaare ki lou ab gahri ho rai hai
Lekin Mujhe Gam nahin hai
Itna mujhe maloom hai
Ek kalam rukegi, toh Hazaron Uthengi
Andhiyare ki lou chahe kitni hi gahri ho
Roshni ki chingaariyaan saare jag ko roshan kar dengi

2 comments:

Anonymous said...

Hey,
This was quite a good piece!
Aisa lagta hai jaisey koi saamne baith kar baatein kar raha ho aur tum usey sirf sun rahey ho, suney rahey ho aur kahin aur khotey ja rahey ho.

anshul said...

thankoo :)