Friday, August 07, 2009

Recycled

anjaan

log kahte hain
ki samay hamesha ek sa nahi rahta
lekin is pal se hum kaise aage jayenge
iska andaja na hume hai, na tumhe

mahsoos

ek dil ne kaha khuda salamat rakhe
ek dil chup raha
ki waqt dekhiye
phir wahi dard mahsoos ho raha

bebasi

man ne chaha ke ya waqt tham jaye
ya sans thum jaye
par na jaane unki humse kya thi dushmani
na waqt thama
na hi saans thami

No comments: