Friday, August 07, 2009

phir sawal

kinare khade se na poochiye
tairna kya hota hai
tairte se na poochiye
doobna kya hota hai
jo doob kar aaya hai
wahi bata sakta hai
ki sanson main pani kaise ghulta hai

No comments: