Tuesday, March 28, 2006

Basant Aa Raha Hai

Khayalon main khoya
Ek Ped ke nicche khada tha main
Thandi hawa ka jhonka aaya
Halki si ek awaaz aayi
Maine upar dekha
Aur ek tahni muskai
Maine aankh jhapkayi
Khayalon ko choda
Aur tahni ke sur se apne kaano ko joda
Tahni ga rahi thi
Kal main koplen pahnoongi
Ki basant aa raha hai
Iddhar nicche, ghans ne bhi hariyali ki dhun thi lagayi
basant ke avagaman main
Usne picche na rahne ki kasam hai khayi
Udhar phoolon ke podhe bhi kar rahe the taiyaari
Ke Rang Rang pahan basant layenge
Maine bhi tahni ki maani
Chodi khayalon ki khincha-taani
Main bhi ghans ki dhun main ram gaya
Aur roshen roshen sooraj sang
Basant ke avagaman main lag gaya

1 comment:

anshul said...

hmm. now that's too much praise :)