Tuesday, August 22, 2006

Yakeen

Tha mujhe yeh yakeen
hai mujhe jiski chahat
mujhe wahi dastaan milegi
har tamanna apne anjaam milegi
yakeenen mujhe bhi mohabat-e panah milegi

daur-e-jindagi ki kuch rahon se hi gujar
yakeen badal gaya
Sawalon ke patthar se aankhon ka sapna bikhar gaya
ab aalam yeh hai
ki mujhe yakeen toh hai
par yakeen par yakeen nahi

4 comments:

Ritesh Shah said...

Abey chaman, kis ladki ne dhoka diya :).

anshul said...

"chaman" haha ! kisi ne nahin, main sirf pulav paka raha hoon idhar :)

Ritesh Shah said...

Khayali ki asli...sirf khayali hi pakata rahega..asli kab pakaiga :).

Anonymous said...

kisne tere pulav ki khichdi kar di...