Kuch Baras Pahle hi ki toh baat hai
Jab Ghar ka Aangan chora tha
Yaad hai
Tab Aangan main aati-jaati hariyali thi
Mogre ki mahak thi
Aur neem ki kadwahat
Peepal ki Chanv thi
Aur Bargad ki Jatayen
Haan Yaad toh hai
Phir Aisa kyun lagta hai
Ki Jaameen ki dooriyan toh wahi hain
Par dilon ke phasle badh chale hain
Ki Tasveeron ki chamak to wahi hai
Par Yaadein Purani ho Chali hain
Aisa kyun lagta hai
Ki pheeki hoti mogre ki mahak
Awaz dekar kah rahi hai
Bahot Baras ho gaaye
Hamare Aangan ke Panchi ko Gaaye
Aisa kyun lagta hai
Ki Boodha neem pukar raha Hai
Bahot Baras ho Gaaye
Hamare Aangan Ke Panchi ko Gaaye
Ki Bargad Ki Sooni Jayaten pukar rahi hain
AbKe Baras
Jhoola Khali na rahe
Bahot Baras Ho gaaye Hamare Aangan Ke Panchi ko Gaaye
Shayad Peepal Bhi Asantosh main hai
Ke Na Koi uski daliyon par baith-ta hai
Na koi uski Chaanv Main khelta hai
Par Kuch hi Baras toh Huye hain
Panchi ko Aangan chore
Phir kyun lagta hai
Ki Panchi ab ghar lout chale
Ki Panchi ab ghar lout chale
Friday, September 30, 2005
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
Lovely!
Post a Comment