Sunday, August 14, 2011

badlav

nayi jagah mili, yaar mile, nayi maujen milin
lekin ajeeb si baat hai
phir se juda waise man nahi

jab hari ghans par kabhi dophar ki girti dhoop dekh kar
kabhi aasmaan phaili raat ke chamakte tare dekh kar
man yuhin bhar jata tha
aaj bhi din wahi, raat wahi, mausam wahi
par phir se juda waise man nahi

jab kuch yaaden yuhin aa jaati hain
man khali sa ho jaata hai
kabhi kuch der mile raston se bani
tang galiyon main kho jaata hai
raste yaar jagah manjilen
sab badal gaye hain
lekin dil ke kuch kone hain shayad
jinmain badle hum nahin

mauj=waves,joy

chauk

wahi sooraj wahi dharti
kuch kadam chal rahe hum wahin
na jaane kyun
kabhi main nahi mila
kabhi tum nahi
kabhi waqt nahi mila
aur kabhi man nahi

- took inspiration from the poetry in zindagi
na milegi dobara, to write something